Raat khamosh kade intzaar kare mera, ki mai kuch kahoon,
Ke wada tha oon se ki aaj guphtagu hogi.
Kuch raaz honge, kuch sikayatein hongi, kuch izhar hoga.
Par na jaane kyun, aaj zubaan khushk si hai.
Din masroof tha.
Uske raftar mein mehfil nahin jami.
Ke woh kabhi sawaloon pe utthe jawab, toh kabhi jawabon pe utthe sawaalon ki pemaish kar sake.
Lehaza, kuch der, kisson ko dibbe mein baand kiya gaya.
Kisse barte gaye, dhakkan kasakta gaya.
Aur phir,
Raat aata hai.
Sabr ka chadar bechata hai, sukoon ka wada karta hai.
Par na jaane kyun, ab zubaan khushk si hai.
No comments:
Post a Comment